Sunday 23 June 2013

Things the 50+ year olds say when they see us doing these things

© Credits - Bhak Sala Page in facebook 
    Dated : 23-6-2013

1. Listening to any kind of music after the Kumar Sanu era: Ye sab dhin-chak dhin-chak bhi koi music hai? Tum logon ko music ke baare me kya pata hai? Hamare zamane me there were 3 jewels, Mukesh, Mohd Rafi and Kishore.. ab tumhare ye Sonu, Wonu ko kuch nahin aata hai. Aajkal ke gaane me koi matlab bhi hai? Purane gaanon me kya mithaas tha, gaane ke kitne achche alfaaz hote the..

2. When they see us watching T20 cricket: Ye aajkal ke ye twenty forty non sense me kya mazaa hai? Hamare zamane me Kapil Dev ne jo 5 down hone ke baad Zimbabwe ke khilaaf 175 maarke India ko jitaya tha, tum logon ko kya pata? Us din BBC ke strike ke wajah se match nahin aaya tha, bas Radio pe sun rahe the, chauke pe chauka, chakke pe chakka, sochte the ki commentator same shot ke baare me replay bata raha hai aur score bolte waqt samajh me aata tha ki ek aur chakka maara hai. Aajkal ke cricket me wo baat kahan..

3. When we take a flight to reach Delhi and travel around: Udke to koi bhi jaata hai, travel karne ka mazaa to train me hi hai.. Aajkal to train me bhi 1 din me pahunch jaate hain, hamare zamane me South se Dilli jaane ke liye 3 din lagte the.. Wo raste me har jagah ki specialty khana, pede, shreekhand, chai.. tum logon ko kya pata hai? Bas plane me baithe aur 2 ghante me pahunch gaye..

4. When we go to KFC, McDonalds, Dominos: Ye bhi koi khana hai? Isse health bahut kharab hota hai, maine paper me padha hai ki roz pizza khane se 'some random statistic / gyaan'. Hamare zamane me hum log kitna healthy khate the, tabhi to aaj bhi dekho kitne tandurust hain, tumhare age me hum log 10 kilometre roz chalke jaate the office aur daudke wapas aate the, aajkal uthne baithne ke liye tum logon ko bike chahiye, chalna to tum logon ne seekha hi nahin..

5. When they come to know about our relationships: Aajkal ka pyaar bhi koi pyaar hai? Hamare zamane me char-paanch mahine ladki se nahin mil paate the, chitti likhni padti thi, paise nahin hote the use post karne ke liye, phir bhi humne pyaar kiya. Tum logon ke paas mobile hai, yaad aaya to SMS aur ye aajkal ka kya hai wo Wechat.. hamare paas kuch bhi nahin tha. Phir bhi humne pyaar kiya hai.. tum log kya jaano pyaar kya hota hai..

No comments:

Post a Comment